MEREE ZINDAGI KE BARAH SAAL 1

MEREE ZINDAGI KE BARAH SAAL 1

aap sochte honge mai school kee student hoon, pr aysa nhi hai mai collage student hoon, aaj kisee kam se ghr se bahar nikli to school kee bhut purani dost mil gyee usne bs uhee puchha kbhi school jati ho purani yade taza krne ke liye mai ne gardan na me hilayee  pr is inkaar ne puranee hr yado ko taza kr diya phir mai sochne lgee ek inkaar maine school ke phle din apne papa mummy se kiya tha mai school nhi jaogee tb mummy ne payar se kha ek baar ja kr dekho vo bhee tumhare ghr jaisa hai.............is khali jahag kee tarah mai bhee chup rhee ek char saal kee bachchi ke dimaq me kya chal sakta hai vhee,, aaj ja kr dekhti hoon phir kl nhi jaogee , mai bhee isee kashmaksh me school ke get tk phuchi mummy ne payar se kha bye. aysa lga jaise puri duniya pichhe chhut gyee , pr phir bhi khud ko himmat dee aur aage badee jb phala qadam rkha to jaise lga kee nyee duniya me qadam rkha ho school me aate hee char raste ja rhe the soch rhee thee kee kidhar jao tbhee ek awaz aayee bitiya kha ja rhee ho mai ne masumiyat se kha pta nhi , phir dai ji ne puchha class kaun sa hai mai ne kha yaad nhi pr shayad class 1 section B unhone kuchh der baad kha achchha thik hai sidhe jana aur baye ghum jana jo teesra class ayega vo hoga 1B mai darte darte aage chali ...shayad aap bor ho rhe hai isliye is safar to thoda raftar detee hoon pahla class nye dosto ke sath tezee ke sath aage chala phir dosra class isee trah na jane kb primary ke khelkood se zindagee aage chalee aur phir six aaya pr zindagi kuchh khas nhi badlee pr jb seven me gyee tu dimag me kuchh halchal shuru ho gyee phir kitabo kee kahani ke sath library kee traf ek khichav badne lga aur ye khichao bhut tezee se raftar pkdne lga phir kya is jagah se ek rabta ban gya phle to chacha chaudri phir champk phle yhee dost rhe phir dil ne kuchh nya dhudhne kee koshish kee phir hath dosri almariyo kee taraf bdhe jaha shayad prmechandra aur jayshankar parsad aur mahadivi Varma mera intezaar kr rhe the ya ye kh sktee hoon kee meree zindagi hee en lamho ka intezaar kr rhe thee jo shayad mujhe ab pta chala tha............waqat kh rha hai aaj nhi,,,,,,,ab bs aage ka safar phir aage kuchh kadiya phir dusre din jodege ...........pr ha aage ka safar bhut mazedar hai ,,,,,,

bhool mt jaiyega is safar ka dosra bhag abhi bacha hai .............................aur haan is safar me abhi sirf 8 saal hee pure huyee hai..........abhi 12 pure nhi huye hai dosto,,,,,,,,,
                                                                                                                              ABIHA INTEKHAB



                                                                                                                                                                                                   

Comments

Popular posts from this blog

ज़ंग लगी हुई सोच

एक शख़्स (बापू)

मेरी मां